Friend har naye update ke sath YouTube pehle se fast or accha hota ja raha hai. Lekin aaj bhi kuch aisi secret yotube tips & tricks hai jise bahot kum log jante hai, agar aap is tips & tricks ko jaan loge to aap ek pro YouTuber ke jaise YouTube ka use kar sakte ho...
Almost sabhi log mobile YouTube app me sirf videos hi dekhte hai, is liye aaj hum aapke mobile ke YouTube app ki kuchh aisi setting or features ke baare me batayenge jo aapke liye bahot useful rahegi...
YouTube tips & tricks in Hindi 2023
Jara sochiye kitna intresting hoga agar aap YouTube par bina avaz ki video dekh sake ? Sirf ye hi nahi or suniye, aap kum internet me bhi YouTube videos dekh sakte hai..
1. Video ke bich me break Kaise le ?
Bahot baar YouTube par videos dekhte dekhte time ka pata hi nahi chalta, to e trick aapke liye bahot usefull rahegi. Example ke liye agar aap chahte hai ki 20 minutes baad automatically aapka YouTube video Stop ho jaye or aapko time ka pata chalta rahe to niche di gai trick ko follow kijiye..
• YouTube app open kare.
• ab upar diye gaye chennal ke icon par click kare.
• fir settings option par click kare.
• yaha par general option par click kare.
• Remind me to take break off option ko select kar ke hours ya minutes par select kar sakte hai.
2. Bina aavaz ke video dekhe.
Agar aap kahi bhid bhad wali jagah par hai or aap koi important video dekhna chahte hai lekin apke paas earphones ya Bluetooth neckband nahi hai to aapo bahot problem hogi video ko samjne me, lekin agar aap captions on kar denge to aap easily read kar ke samaj sakte hai video me kya bataya ja Raha hai.
• YouTube video ko Play kare.
• upar diye gaye CC option par click kare.
• iske baad bina audio ke aap video me caption padh sakte hai.
3. YouTube par incognito mode on kare
Jab bhi aap YouTube open karte hai to homepage par aapke subscribe kiye hue channels or search kiye hue keywords se related videos dikhai jati hai, lekin agar aapko jan na hai ki YouTube par abhi kya new trending chal raha hai, konsi video zyada dekhi ja rahi hai, ya phir aap kuch aisa search karna chahte ho jo or kisi ko pata na chale, to aise time par aap incognito mode ko on kar ke search kar sakte ho baad me kisi ko pata nahi chalega aapne kya search kiya tha.
Iske liye upr diye gaye channel icon par click karna hai, or incognito mode ko select karna hai, ab aap yaha pat kuch bhi dekh sakte hai, search kar sakte hai, jab bhi aap incognito mode se bahar ayenge to aapki sari history automatically delete ho jaayegi.
4. YouTube history delete kaise kare ?
Bahot baar aisa hota hai ki aap kuch aisi videos search kar ke dekhte hai jo aap nahi chahte ki bacche ya kisi or ko uske bare me pata chale, to aise time par aap apni YouTube history delete kar ke sare search delete kar sakte hai.
• pehle aapko YouTube app me jana hai or settings option par click karna hai.
• ab yaha par history & privacy option par click karna hai.
• ab clear watch history par click karna hai.
• ab clear button par click karte hi aapke YouTube aap ki sari search history delete ho jayega.
Conclusen :-
to ab aapko 2024 ki latest youtube tips & tricks in hindi pata chal chuki hogi, agar aapko is post se kuchh bhi achha sikhne ko mila ho or accha laga ho to is post ko aage logo tak sahre jarur kare.