Best Free Data Recovery Software Ft. EaseUs
Maine bahot sare Free data recovery softwares ko download Kiya or sab softwares ko taste kiya, in sab softwares me se EaseUs Free data Recovery software ka result muje sab se zyada accha mila, is software se recover hue photos or videos ki quality bhi acchi thi.
Is liye Maine socha mere jaise or bhi bahot sare log honge jo apna delete hua data recover Karna chahte honge, to socha aap logo ke sath bhi is software ko share karu, iski help se aap bhi apna delete hua sara data easily recover kar sakte ho.
Me aapko EaseUs Free data Recovery software ke bare me batane wala hu, iski help se aap Hard Disk, pendrive, memory card se delete hua data recover kar sakte hai.
EaseUS Free Data Recovery Software
Free Data Recovery bhi EaseUs ka hi ek tool hai iski help se aap sab type ka data recover kar sakte hai.
- Image/photos Recovery
- Audio/Video Recovery
- Files/documents recovery
Is Software ka paid version bhi ata hai, but me aapko suggest karta hun pehle aap iska free version download kar ke try kare, aap EaseUs Free data Recovery software par click kar ke is Software ko download kar sakte hai.
How to use EaseUS Data Recovery Software ?
Software ko download karne ke baad niche diye gaye sabhi steps ko follow karne se aapka delete hua sara Data aap easily recover kar payenge.
Note:- software ko us drive me Insta na kare jis drive se aap data recover karna chahte hai.
1. Sabse pehle aapko software ko open karna hai or location select karna hai jaha se aap data recover karna chahte hai.
2. Ab apko scan wale option par click karna hai is se aapka Scaning Process Start ho jayega.
Sabse pehle Quick Scan ka option hoga jo ki bahot fast hoga, uske baad Deep Scaning ka process hoga, isme thoda zyada time lagega scan hone me tab tak apko wait karna padega.
3. ab aapko Preview par click karna hai, jise aap dekh sakte ho aapko kon kon sa data recover karna hai.
jis data ko aap recover karna chahte hai un sabhi data ko click kar ke select karna hai, uske baad Recovery Option par click karna hai, is se aapka sara data recover ho jayega..
Note:- Recover karte time e baat ka dhyan jarur rakhe, jaha se aapne data recover kiya hai us drive me aap is data ko save na karke dusre drive me save kare.
Conclusion:
Friends is post me maine apko EaseUs Free data Recovery software ke bare me bataya, jise use kare ke aap computer se delete hue photos, Videos, Audio, documents jaise bahot se files ko recover kar sakte hai.
Agar apke computer se aapka koi important data delete hua hai to ek bar EaseUs Free data Recovery software ka use jarur kare.
Ummid hai aapko post pasand ayi hogi or aapke liye usefull rahi hogi, agar aap is post ke bare me koi sujav dena chahte hai ya kuch puchna chahte hai to coment jarur kijiye.
Thank you.