Hello, namashkar Dosto, aap log apne personal data ko apne mobile ya fir laptop me rakhte honge, chahe wo photos, videos, documents ya fir kisi bhi type ka data ho aap apne personal data ko bahot safe rakna chahte ho isi wajah se aap apne mobile me koi private Safe files application use karte ho jiski madad se aap apne personal data ko hide kar sakte hai.
problem e hai ki kabhi kabhi by mistake aapse wo data delete ho jata hai, application crash hone se apka data delete ho jata hai ya fir kai baar aapka mobile kho jata hai, tut jata hai aise time par aapka data loss ho jata hai...
is post main me aapko bataunga kis tarah se aap Mobile se delete hue photos ko apne mobile se ho recover kar sakte hai. Me apko disk digger pro application ke bare me bata raha hu jiki madad se aap apne delete hue photos lo asani se recover kar sakte ho.
How to Use Disk Digger Pro Application ?
1. Sabse pehle aapko Google ya playstore se Disk digger pro application download karni hai.
2. Disk digger pro application ko open karna hai.
3. Yaha par aapko 2 option milenge, basis Scan & Full Scan.
4. Aapka mobile agar Root hai to aap full scan kar sakte ho otherwise aapko basic Scan hi karna padega.
5. Basic scan karne par aapke mobile ki or sath me delete hui sari photos apko dikhne lagegi.
6. Ab in photos me se aapko apni delete hui photos ko select kar lena hai.
7. photos select karne ke baad apko upar recover ka option dikhega us par click karna hai.
8. Recover par click karoge to Aapko choose karna hoga kaha par aap apne Photos ko recover karna chahte hai.
9. Ab aap apne jaha par apne photos recover kiye hai waha par aapki delete hui photos recover ho gai hogi.
To is tarah se diak digger pro application ko use kar ke aap apne delete hue sare photos ko asani se recover kar skte hai..
Fir bhi agar aapko koi problem ho rahi hai to niche ek video di gai hai usme live demo dikhaya hai ki kis tarah se aap Disk digger pro application ko use kar aakte ho.
Disk digger pro ek mobile application hai jo ki aap Google play store se download kar sakte ho, par agar aap waha se download karte ho to aapko Rs.189 pay karna padega uske bad hi aap application ko use kar payenge.
Bahot sare log bina paise diye hi application download karna chahte hai is liye Google par already bahot sare websites aise hai jaha se aap bina pay kare kisi bhi application ka pro version download kar sakte hai.. but e totally illigal hai kyu ki developer itni mehnat kar ke apps banate hai apki help karte hai to hame unki mehnat ko aise free me nahi Lena chahiye..
Aapka data important hai or is application se apke photos recover ho jate hai to mere hisab se Apko devlopere ko pay karna chahiye..
Disk Digger pro application download karne ke liye niche download button par click kare.
Thank you.