Aaj aapko hum aisi jankari denge jiski madad se aap apne mobile se delete hui saari photos recover kar sakte hai. Hum sabhi apne mobile me personal photos rakhte hai jo hamare liye important hoti hai. Or kabhi galti se humse wo important photos delete ho jati hai, or hum bahot pareshan ho jate hai to aaj is post ke through hum aapko batayenge ki aap kis tarah se disk digger pro application ko use kar ke apne mobile se delete hui aani private photos ko recover kar sakte hai.
Disk digger pro application ko use karne ke liye pehle aapko application ownload karna padega, jiski link aapko niche di gai hai, to chaliye ab aapko batate hai ki aap kaise Apne mobile se delete hui private photos ko recover kar sakte hai.
• Disk Digger pro application Kaise use kare ?
1. Disk digger pro application download karne ke baad open karna hai.
2. Isme aapko 2 options milenge.
3. Basic scan & Full Scan
4. Aapke mobile ki galler se agar photos delete hui hai to aapko basic scan par click karna hai.
5. Agar aapki photos mobile ke private safe se delete hui jai to Full Scan par click karna hai.
6. Agar aap Full Scan karna chahte hai to aapka mobile Root hona jaruri hai, agar Root nahi hoga to aap Full Scan par click nahi kar sakte.
7. Ab jaise hi aap scan par click karenge to apko mobile gallery or delete hui photos scaning me dikhne lagegi, ab in sab mix photos me se jo photos aap recover karna chahte hai un photos ko select kar lena hai.
Waise to Disk digger pro application download karne ke liye aapko paise dene padenge, google play store par aap search karoge Disk Digger Pro to aapko application mil jayega waha se aap download kar sakte ho. Lekin kuchh log kya karte hai Google se mode Application download kar lete hai jo ki illigal hai or isse devloper ki mehnat or Paisa dono barbad hota hai, fir bhi agar ap log download karna chahte ho to aap apne risk par kar sakte ho, hum aapko suggest nahi karte aap aisa kare.
Sath hi aapko bata de, agar aapne Mobile, computer, harddrive se koi data delete hua ho jaise ki Photos, Videos, Audio, ya fir koi bhi documents, or aap use recover karna chahte hai to humne aapki help ke liye yaha par niche ek video di hai jisko dekh kar aap apna kisi bhi type ka deleted data recovery kar sakte hai.
Aasha karte hai aapko jankari acchi lagi hogi or is post se aap apne delete hui private photos ya fir data recover kar lenge.
Thank you so much.
Aapka din Shubh Rahe.